top of page

TEAM LIFESTYLE : TRICLOSAN IN TOOTHPASTE

Doston team lifestyle ki har video ki tarah ye video bhi bhot he serious issue k upar hai, jo issue zindagi me kabhi bhi tv news channel nahi uthane waale, aur aap ache se jante hai kyu

Aapki jimmedari hai ki jada se jada logo tak ye jankari pohchni chahiye, kyuki aaj aap log he hamare desh k asli journalists aur researchers ban chuke hai

Total 5 points hai , ye pata hone k baad aap shock me aa jaoge ki itna jada jhoot hamse bola gya aur kisi ko 1% ki bhi hawa nahi lagi

Pehla point
Cancer poori duniya me bhot he jada tezi se fail chuka hai, aur india ka cancer burden 2025 aate ate 500% increase ho sakta hai https://health.economictimes.indiatimes.com/news/industry/500-increase-in-cancer-incidence-in-india-by-2025-say-experts/47329214

galat khaan paan ki wajah se , galat lifestyle se, haina? Yehi aam bolachal ki bhasha me istemal hone waal wakya hai, Lekin ab aap ye suniye

Toothpaste se cancer ho sakta hai, ab kya yeh statement sahi h ya galat iski jaanch partal shuru karte h .

,
toh Sabse pehla aap ye dekhiye, 1990s mein pepsodent ka ek bhot hi famous ad aata tha ki pepsodent 102% better h ordinary toothpaste se kyunki uske andar triclosan h, or itna ad kia iss product ka ki competition mein aakar colgate company ko bhi apne toothpaste mein triclosan add karna pada uss samay. Ye dekhiye

Pepspdent ki website par kya likha h, ki vo ek naya formula lekar aaye h, , fluoride + triclosan, khaas aapke daanto ko chamkane ke liye .

Abb jaante h ki yeh triclosan cheez kya hai?

Fda ki website par likha hai, teiclosan ek ingredient hai jo bacterial contamination ko rokne k liye soap, body wash, toothpaste jaisi cheezo me milaya jata hai,
darasal triclosan deodorant, handwash, soaps jese ki lifebuoy, savalon, cinthol, shower gels, dishwashing liquids, hand sanitizer, mouthwash, toothpaste pepsodent ho ya colgate total, bhot saari cheezo me use hota tha,
infact
2008–2010 takk haalat yeh ho chuke they ki triclosan 93% of liquid, gel, or foam soaps me paya jata tha

Consumer products jinme triclosan maujood tha unki annual saale $886 million hua karti thi https://www.fda.gov/media/87682/download

kul milakar ye kehna chahte hai ki triclosan se aap hamesha ghire hue rahe hai, aapki daily life ke adhiktar personal care products mein hamesha se triclosan ka use tha.
theek, itna clear ho gya

Dusra point
Abb saath mein internet par search karte h ki kya toothpaste mein paya jaana wala sabse famous ingredient triclosan, ussey cancer hota h ya nahi.
Ye dekhiye, Jawab kya likha hua hai? There is no good evidence to suggest that triclosan causes cancer, abb ye to likha hua hai Lincoln park smiles ki website par, jo ki ek danto ka hospital hai,

ab ye sabse upar search result me aaya ki no good evidence, ki toothpaste se cancer hota hai, to kuch log sochne lag sakte hai ki nahi hota toothpaste se cancer, , doston lekin dhyaan dijiye, yaha ye nahi likha hua hai ki nahi, toothpaste se cancer nahi hota, balki likha hua no good evidence.

Lekin abb inn danto k hospital ko kahan se pat chala? Ye bhagwaan to hai nahi, koi studies hui hongi, toh chaliye triclosan se related sabse imp studies ko dekhte h, taaki picture ekdam clear ho jaye.

Teesra point,

Hamne depth mein search kia ki kya triclosan se cancer hota h, to PNAS journal me ek study publish ho rakhi thi, ye 2014 ki study thi, isme chuho par testing ki gayi to jo baat samane aayi vo aap khud pad sakte hai, triclosan is a liver tumor promoter, yaani ki clear cut baat ho gyi ki haa triclosan se liver tumor hota h, at least chuho mein. Iss research ne puri scientist community mein tehelka macha dia.

Ab mohol thoda serious hone laga hai, ek study ne to bol diya ki han bhai ye bhot gadbad hai tricloson, aur doosri cheez aap hamesha se is ingredient se ghire hue hai,


Iske baad jo bhi studies hui , sab me ye baat saamne aati gayi ki haan triclosan cancer se linked hai,

ek study me baat samne aayi ki ye skin cancer se bhi linked hai,

Agli research mke ye baat samne aayi ki triclosan hamre colon me jo good bacteria hote hai unhe mar de rha tha, aur saath he colon me inflammation ho rahi thi, colon yaani large intestine samjhlijiye, aur ye saari research aur studies FDA dekhta ja rha tha,

Jis karan FDA ne bhi finally september 2016 me soap or toothpaste me triclosan use karne k khilaaf order de diya. ye bhot he shocking news thi sabke liye yaani ki fda bhi maan chuka tha ki haan triclosan me bhot badi gadbad hai,
jab corporates ko Baad me pata chala ki han ye cancer ka bhot he bada karan Hai, to logo me badte akrosh ko dabane k liye aur baatein ghoomane k liye ye kaha gya ki han maan liya triclosan se hota hai cancer, lekin body isey absorb karle sirf tab, aur body isey jada absorb nai kar paati,, to isliye ye body me collect he nahi ho pata,

Toh chaliye inke iss tark ki bhi depth mein research karlijaye.

Ye ek bhot hi badi study h study jisne inki saari pol khol lkarrakh di, iss study me human milk samples ko jab test kia gya, toh 60% human milk samples me bhot high levels of triclosan mila, or is study ka yeh conclusion tha ki haan triclosan body bhot ache se absorb kar paati hai.
infact triclosan 2nd generartion me bhi transfer ho rha tha breast milk se, ye saar studies aapko descption box me hamne de rakhi hai, aap aaj he abhi he pade,

Or yeh itni gambheer baat h ki breast cancer prevention parterns, jo ki ek bhot badi organisation h, ye openly keh chuke hai ki avoid triclosan.

Itna hi nhi recently china mein 209 participants par jo study hui usmein 80% participants ke urine samples mein triclosan paya gya. Or ese hi results australia mein 2400 logo par jo study hui ismein bhi 100% participants mein tcs paya gya . Extremely shocking.

https://pubmed.ncbi.nlm.nih.gov/26497189/

https://www.ncbi.nlm.nih.gov/pmc/articles/PMC5537729/

1 k baad ek bhot saari studies me ye baat spasht hui ki triclosan body me collect ho rha tha, stufdies me triclosan in human breast milk, urine and blood plasma har jagah mil rha tha

Ki feb 2017 aate aate finally eu ko bhi TCS ko ban karna pada.


4th point,



To abb itni dehshat bhari baat sunkar, next ab aap jo bhi toothpaste use kar rahe h, usmein jakar dekhenge ki triclosan hai ya nahi, to ye kaam bhi ham he aapke liye kar dte hai,

Toh hamne search kara ki pepsodent mein tcs h ki nahi h, to jawab aaya nhi.

Abb Colgate total toothpaste, aapko 100% yaad hoga, ismein triclosan bhi ek ingredient tha, vo 2016 ki sales mein number two leading toothpaste tha.
But at present usmein TCS ka istemal stop kar dia gya h.

Baral bhit sal tcs aapki body mein gya h or aaj bhi bhit sare products mein TCS maujud h.

Lekin abb aap khush mat ho jana ki haa toothpaste mein to nhi h, kyunki ye toh tcs h jo 5 saal pehle pakda gya, aaj bhi bhot saare products aap use kar rahe h jo kal pakde jayenge.

aur aise cheeze hamesha se hoti aa rahi hia, aise bhot saar cheeze hai jo aap aaj bhi istemal kar rahe h or vo studies me clearly aa chuka hai ki un cheezo se cancer hota ahi, bas paiso k dam par aapk tak vo studies pohcne nahi di jaati.

5th point,
at the end aaapkop ye samjhna hai ki humans ye sab use karne k liye nahi bane te, ye saara western concpt hai, ye sampoo, angrzi dawaiya, sanitisers, ye sab extremely khjatarnaak hai, bas kyuki is se insaan dfheere dheere marta hai to aapka conscious brain ye slow death pick nahi kar pata hai,

Bass ayurved ka ye ek bhot important concpet yaad rakhiye, ki jo bhi cheez aap kha nahi sakte use shareer par laga bhi nahji sakte . Or infact toothpaste par khud hi likha hota h not to be swallowed.

Dosto agar aap inn sare chemical wale products ka alternate chahte h, toh dr bkswaroop ne toothpaste, soap, shampoo in sare products ko ghar par kese banane h, iska bhit hi easy solution ham sabko dia h, ussey janne ke liye aap iss video par clik karlijiye .




Read more at:
http://timesofindia.indiatimes.com/articleshow/68434898.cms?utm_source=contentofinterest&utm_medium=text&utm_campaign=cppstke

https://www.ncbi.nlm.nih.gov/pmc/articles/PMC6126357/
https://ehp.niehs.nih.gov/doi/10.1289/ehp.10768
https://www.ncbi.nlm.nih.gov/pmc/articles/PMC5915298/
https://www.bcpp.org/resource/triclosan/






dangers of triclosan to be pastd in website
https://www.ncbi.nlm.nih.gov/pubmed/26374612
https://www.ncbi.nlm.nih.gov/pmc/articles/PMC4724348/
https://www.ncbi.nlm.nih.gov/pmc/articles/PMC5040606/
https://www.ncbi.nlm.nih.gov/pmc/articles/PMC3435154/
https://www.ncbi.nlm.nih.gov/pubmed/22000841
https://www.ncbi.nlm.nih.gov/pmc/articles/PMC4568818/
https://www.ncbi.nlm.nih.gov/pmc/articles/PMC4260592/
https://www.ncbi.nlm.nih.gov/pmc/articles/PMC2890036/
https://www.ncbi.nlm.nih.gov/pubmed/26184583




Team Lifestyle Triclosan Toothpaste: About
bottom of page